Music Release Date: 18 Sep 2004

Lyrics

Kyon Hawa

Music Director(s): The Late Madan Mohan
Lyricist: Javed Akhtar
Singer(s): Yash Chopra, Lata Mangeshkar, Sonu Nigam

Ek din jab savere savere
Surmai se andhere ki chaadar hata ke
Ek parbat ke takiye se
Suraj ne sar jo uthaaya
Toh dekha

Dil ki vaadi mein chahat ka mausam hai
Aur yaadon ki daaliyon par
Anginat beetein lamhon ki kaliyan
Mahakne lagi hain

Ankahi ansuni aarzoo
Aadhi soyee hui aadhi jaagi hui
Aankhein malte huye dekhti hai
Laher dar laher aur mauj dar mauj behti hui zindagi
Jaise har pal nayi
Aur phir bhi wohi
Haan wohi zindagi
Jiske daaman mein koi mohabaat bhi hai
Koi hasrat bhi hai
Paas aana bhi hai
Door jaana bhi hai
Aur yeh ehsaas hai
Waqt jharne sa behta hua
Jaa raha hai yeh kehta hua

Dil ki vaadi mein chahat ka mausam hai
Aur yaadon ki daaliyon par
Anginat beete lamhon ki kaliyan
Mahekne lagi hain

Kyon hawa aaj yun gaa rahi hai

Kyon hawa aaj yun gaa rahi hai
Kyon fiza rang chhalka rahi hai
Mere dil bata aaj hona hai kya
Chandni din mein kyon chha rahi hai
Zindagi kis taraf jaa rahi hai
Mere dil bata kya hai yeh silsila
Kyon hawa aaj yun gaa rahi hai
Gaa rahi hai, gaa rahi hai

Jahaan tak bhi jaayein nigaahein
Baraste hain jaise ujaale
Jahaan tak bhi jaayein nigaahein
Baraste hain jaise ujaale
Saji aaj kyon hai yeh raahein
Khile phool kyon hai niraale
Khushbooyein kaisi yeh beh rahi hain
Dhadkanein jaane kya keh rahi hain
Mere dil bata yeh kahaani hai kya
Kyon hawa aaj yun gaa rahi hai
Gaa rahi hai, gaa rahi hai

Yeh kiska hai chehra jise main
Har ik phool mein dekhta hoon
Yeh kiska hai chehra jise main
Har ik phool mein dekhta hoon
Yeh kiski hai aawaaz jisko
Na sunke bhi main sun raha hoon
Kaisi yeh aahatein aa rahi hain
Kaise yeh khwaab dikhla rahi hain
Mere dil bata kaun hai aa raha
Kyon hawa aaj yun gaa rahi hai
Gaa rahi hai, gaa rahi hai