Baba Lauta De Mohe Gudiya Mori
Angna Ka Jhoolna Bhi
Imli Ki Daar Wali Muniya Mori
Chaandi Ka Painjana Bhi
Ik Haath Mein Chingaariyaan
Ik Haath Mein Saaz Hai
Hansne Ki Hai Aadat Humein
Har Gham Pe Bhi Naaz Hai
Aaj Apne Tamaashe Pe Mehfil Ko
Karke Rahenge Fida
Jab Talak Na Karein
Jism Se Jaan
Hogi Nahin Yeh Juda
Manzoor-e-Khuda
Manzoor-e-Khuda
Anjaam Hoga Humaara Jo Hai
Manzoor-e-Khuda
Manzoor-e-Khuda
Manzoor-e-Khuda
Toote Sitaaron Se Raushan Hua Hai
Noor-e-Khuda
Chaar Din Ki Gulaami
Jism Ki Hai Salaami
Rooh Toh Muddaton Se
Aazaad Hai
Hum Nahin Hain Yahaan Ke
Rehne Wale Jahaan Ke
Woh Shaher Aasmaan Mein
Aabaad Hai
Khilte Hi Ujadna Hai
Milte Hi Bichhadna Hai
Apni Toh Kahaani Hai Yeh
Kaagaz Ke Shikaare Mein
Dariya Se Guzarna Hai
Aisi Zindagaani Hai Yeh
Zindagaani Ka Hum Pe Jo Hai Karz
Karke Rahenge Adaa
Jab Talak Na Karein
Jism Se Jaan
Hogi Nahin Yeh Juda
Manzoor-e-Khuda
Manzoor-e-Khuda
Anjaam Hoga Humaara Jo Hai
Manzoor-e-Khuda
Manzoor-e-Khuda
Manzoor-e-Khuda
Toote Sitaaron Se Raushan Hua Hai
Noor-e-Khuda
Baba Lauta De Mohe Gudiya Mori
Angna Ka Jhoolna Bhi
Imli Ki Daar Wali Muniya Mori
Chaandi Ka Painjana Bhi