Music Release Date: 12 Jun 2002

Lyrics

Andekhi Anjaani

Music Director(s): Rahul Sharma
Lyricist: Anand Bakshi
Singer(s): Lata Mangeshkar, Udit Narayan

Andekhi anjaani si
Pagli si deewaani si
Jaane woh kaisi hogi re
Andekhi anjaani si
Pagli si deewaani si
Jaane woh kaisi hogi re
Chori se chupke chupke
Baithi hai dil mein chhupke
Jaane woh kaisi hogi re

Andekha anjaana sa
Pagla sa deewaana sa
Jaane woh kaisa hoga re
Andekha anjaana sa
Pagla sa deewaana sa
Jaane woh kaisa hoga re
Chori se chupke chupke
Baitha hai dil mein chhupke
Jaane woh kaisa hoga re

Andekhi anjaani si
Pagli si deewaani si
Jaane woh kaisi hogi re

Mere khayalon mein na jaane kitni
Tasveerein banne lagi
Bus aasmaano par do dilon ki
Taqdeerain banne lagi
Bin dekhe, hai aisi
Bechaini tauba
Oye rubba, dekha toh
Jaane kya hoga
Sapnon mein aanewaali
Needein churanewaali
Jaane woh kaisi hogi re
Palkon ne upar neeche
Dil ki dhadkan ke peeche
Jaane woh kaisa hoga re

Andekhi anjaani si
Pagli si deewaani si
Jaane woh kaisi hogi re

Na jaane kya hoga, kya na hoga
Pehli mulaqaat mein
Kaise chupaoongi chand ko main
Uss chandni raat mein
Bus ab toh, main uska
Ghunghat kholoonga
Chupke se, dekhoonga
Kuch na boloonga
Oye oye oye yeh bechaini
Oye oye oye yeh betaabi
Jaane woh kaisa hoga re
Jisko dekhna na barson
Dekhoonga main kal parson
Jaane woh kaisi hogi re

Andekha anjaana sa
Pagla sa deewaana sa
Jaane woh kaisa hoga re

Andekhi anjaani si
Pagli si deewaani si
Jaane woh kaisi hogi re

Jaane woh kaisa hoga re
Jaane woh kaisa hoga re
Jaane woh kaisa hoga re