Music Release Date: 09 Oct 2014

Lyrics

Baawra

Music Director(s): Shankar-Ehsaan-Loy
Lyricist: Gulzar
Singer(s): Shankar Mahadevan, Nihira Joshi Deshpande, Gulzar, Loy Mendonsa

Koi atkaa hua hai pal shaayad
Waqt mein pad gaya hai bal shaayad
Dil agar hai toh dard bhi hoga
Iska koi nahin hai hal shaayad

Bujh gaye taare o yaara
Aasmaan kaala lage re
Kuch bhi nazar na aave
Akhiyon mein jaala lage re

Dil waali naukri ne maara
O yaara dil waali naukri ne maara
O meetha lage ab bhi woh yaaron
Dardon ki tokri utaaro

Dil waali naukri ne maara
O yaara dil waali naukri ne maara
Sweeta o sweeta tere bin
Koylon se kaale kaale hue din
Tere bin tere bin tere bin

O zindagi uljha hua sauda hai
Umre leta hai ik pal de kar
Main baawra baawra main baawra

Zindagi uljha hua sauda hai
Umre leta hai ik pal de kar
Main baawra baawra main baawra

O marne se mujhe koi darr toh nahin
Haan tere bin mushkil hogi
Jeena bhi pade toh bhi mujhko
Haan tere bin mushkil hogi
Seene mein ishq ka
Ik bujha sa diya
Main toh le ke chala

Zindagi uljha hua sauda hai
Umre leta hai ik pal de kar
Main baawra baawra main baawra

Shaam hai toh shaam sahi raat na hone dena
Aas ki saans chalti rahe maat na hone dena
Jin aankhon mein neend nahin hai
Un aankhon mein khwaab thha koi
Khwaab woh khwaab tum khone na dena
Baawra baawra baawra

Zindagi uljha hua sauda hai
Umre leta hai ik pal de kar
Main baawra baawra main baawra

Zindagi uljha hua sauda hai
Umre leta hai ik pal de kar
Dil baawra baawra dil baawra