Haan, yeh main aaya kahaan hoon,
Khauff hai sehma hua hoon,
Haan, yeh kaisi fiza hai,
Dard hai beheka hua hoon,
Na jaane kaisi yeh dua,
Na jaane kaisi yeh pukaar,
Na jaane kaisi yeh fariyaad hai...
Aye mere khudaa,
Sun le yeh sadaa,
Zakhmon ko mere tu chupaa,
Rooh ki yeh parachaai,
Dil ki yeh tanhaai,
Dhoondoon tere sajde mein panaah...
Ahh mujhe jaana kahaan hai,
Soch mein dooba hua hoon,
Haan yeh kaisi sazaa hai,
Dard se behka hua hoon
Anjaani si hai yeh subah,
Anjaana sa hai yeh safar,
Anjaana sa yeh intezaar hai...
Aye mere khudaa,
Sun le yeh sadaa,
Zakhmon ko mere tu chupaa,
Rooh ki yeh parachaai,
Dil ki yeh tanhaai,
Dhoondoon tere sajde mein panaah...
Meri hasaraton ka yeh afsaana,
Yeh afsaana
Mere kashmakash ka yeh taraana,
Yeh taraana, yeh taraana
Besabr waqt ko dhoonde zamaana
Aye mere khudaa,
Sun le yeh sadaa,
Zakhmon ko mere tu chupaa,
Rooh ki yeh parachaai,
Dil ki yeh tanhaai,
Dhoondoon tere sajde mein panaah...
Aye mere khudaa,
Sun le yeh sadaa,
Zakhmon ko mere tu chupaa,
Rooh ki yeh parachaai,
Dil ki yeh tanhaai,
Dhoondoon tere sajade mein panaah...