Music Release Date: 20 Oct 1995

Lyrics

Ghar Aaja Pardesi

Music Director(s): Jatin-Lalit
Lyricist: Anand Bakshi
Singer(s): Pamela Chopra, Manpreet Kaur

O koyal kooke huk uthaaye yaadon ki bandook chalaaye
Koyal kooke huk uthaaye yaadon ki bandook chalaaye
Baagon mein jhoolon ke mausam waapas aaye re
Ghar aaja pardesi tera des bulaaye re
Ghar aaja pardesi tera des bulaaye re

O Baagon mein jhulon ke mausam waapas aaye re
Ghar aaja pardesi tera des bulaaye re
Ghar aaja pardesi tera des bulaaye re
Ghar aaja pardesi tera des bulaaye re

Iss gaon ki anpadh mitti, padh nahin sakti teri chitthi
Yeh mitti tu aakar choome toh iss dharti ka dil jhoome
Maana tere hain kuchh sapne par hum toh hain tere apne
Bhoolne wale humko teri yaad sataaye re
Ghar aaja pardesi tera des bulaaye re
Ghar aaja pardesi tera des bulaaye re
Ghar aaja pardesi tera des bulaaye re

Panghat pe aayi mutiya re chham chham paayal ki jhankaarein
Kheton mein lehrai sarson kal parson mein beetein barson
Aaj hi aaja gaata hansta, tera rasta dekhe rasta
Arrey chhuk chhuk gaadi ki seeti aawaz lagaaye re
Ghar aaja pardesi tera des bulaaye re
Ghar aaja pardesi tera des bulaaye re
Ghar aaja pardesi tera des bulaaye re

Haathon mein pooja ki thaali aayi raat suhaagon wali
O chand ko dekhoon haath main jodoon karva chauth ka vrath main todoon
Tere haath se peekar paani, daasi se ban jaoon rani
Aaj ki raat jo maange koi woh paa jaaye re
Ghar aaja pardesi tera des bulaaye re
Ghar aaja pardesi tera des bulaaye re
Ghar aaja pardesi tera des bulaaye re

O mann mitra, o mann mita
Ve tainu rab de havaale kita

Duniya ke dastoor hain kaise pagal dil majboor hain kaise
Ab kya sunna ab kya kehna tere mere beech hi rehna
Khatam huyi yeh aankh micholi, kal jaayegi meri doli
Meri doli meri arthi na ban jaaye re

Ghar aaja pardesi tera des bulaaye re
Ghar aaja pardesi tera des bulaaye re
Ghar aaja pardesi tera des bulaaye re

Koyal kooke huk uthaaye yaadon ki bandook chalaaye
Baagon mein jhoolon ke mausam waapas aaye re

O maahive, O chanve, Ve jindva, O sajna...